Translate

Means of PAN card numbers in hindi :



Kya aap janate hain ki PAN card no. kya jaankaari deta hai :

Aaj kal pan card kewal income tax bharne ke kaam nahi aata balki ye ek jaroori identity certificate bhi hai.Log iska use bank me khata khulwaane,new sim card lene,insurance karaane,gaadi kharidne ke baad registration etc.ke liye use karte hain.To aayiye jaante hain ki pan ke 10 digit number me kaun si jaankaari chhupi rahti hai.
       
             
1.PAN number me shuru ke teen akshar alphabet ke AAA se ZZZ tak kuchh bhi ho sakte hain inhe incometax department decide karta hai.
2.Pan number ka fourth letter pan rakhne waale ka status batata hai jaise:
P: ekal vayakti
F: ferm
C:company
A: AOP (association of person)
T:trust
H : HUF (Hindu undevided family)
B : BOI (Body of individual)
L : Local
J : Artificial judicial person
G : Government
3.Pan number ka fifth letter vaykti ke surname ka pehla letter hota hai
4.uske baad four digit ka number hota hai jo 0001 se 9999 tak kuchh bhi ho sakta hai ,is number ko bhi incometax department provide karta hai.
5.Pan number ka aakhiri digit ek Letter hota hai jise incometax department ki bhasa me check letter kahte hain.

No comments:

Post a Comment